Book Video Consultation

Book Video Consultation

Stay Home

No Waiting in lines

Audio/Video Call

PMC Verified Doctors

Talk to Psychiatry on Panic Attack

person-avatar

Asking For Self, Male 30, Gawadar

Aslam Aleekum. Mujhe taqreeban 4 Saal ho gae hai panic attack ki bemari ko mai kae tablet use kiya hai but not working. mai afne home mai belkul normal ho lekin jab bahar jata ho aachanag se mujhe both qabraht ho jata hai dil karta hai abi wapas home mai jao. abi ek saal se mai .. Paraxyl cr and pentoxil m use kar raha ho . dr ne be ye jari rehne ko kaha hai but mujhe lagta hai in ko use karne se koe paeda nahe. I Think is bemari ka koe elaj nahe hai .. now what i do . mai kaya karo ye jare rako ya band karo ?? Panic achanag se ho jata

Counselor in Sialkot - Shehzad Rasheed

Shehzad Rasheed - Counselor

M.Sc Psychology, PMDCP, MS Clinical Psychology | Sialkot

review-stars

7 Positive Reviews

cntct me

Psychiatrist in Karachi - Dr. Asma Zarin

Dr. Asma Zarin - Psychiatrist

MBBS, FCPS, MCPS | Karachi

review-stars

27 Positive Reviews

paraxyl CR in what dose

Member

Member


12.5 mg

1 month ago

Psychiatrist in Karachi - Asst. Prof. Dr. Washdev Amar

Asst. Prof. Dr. Washdev Amar - Psychiatrist

MBBS, FCPS, ICAP(II) | Karachi

review-stars

32 Positive Reviews

apne nazdeek ksi psychiatrist ko phir review kraen.. koi blood test hue hen jese k Blood CP, TSH or Vit D3?

Member

Member


Normel

1 month ago

Psychiatrist in Lahore - Asst. Prof. Dr. Ayaz M Khan

Asst. Prof. Dr. Ayaz M Khan - Psychiatrist

MBBS, FCPS, MD | Lahore

review-stars

55 Positive Reviews

W Salam

Apki symptoms panic disorder k sath agoraphobia (akaily bahir jany se dar lagna) wali lag rahi han.

Mai apko apny 10+ years k experience ki bunyad per keh raha hun: ye bemari bilkul qabil e ilaj ha.

Mera mashwara ha:
Pentoxol M ko foran band kar dena chahye. Agar symptoms 1 year se puri tarah behtar nai ho rahi to humain Paroxetine (Paraxyl CR) ko increase karny, aur psychotherapy (bat cheet) k ilaj ki zarurat ha.

Bemari ki mukamal tashkhees aur medicines k jayzay k liay ap mujh se rabta kar sakty han

https://www.marham.pk/doctors/lahore/psychiatrist/asst-prof-dr-ayaz-m-khan

Mujhy umeed ha k apko apny sawal ka kisi had tak jawab mil gya ho ga.

Mai apko yaqeen dilata hun, hum kuch weeks k baqayda ilaj se apki bemari ko mil kar qaboo kar sakty han.

Shukriya!

Member

Member


Thank you sir. But sir mai Lahore nahe a sakta aur video calling ka sestum mai nahe janta mere paas card nahe hai. kiya sir mai af se whatsapp par bath chet kar sakta hon. mai af kaa pess Bank ke tro bejh do ga.

1 month ago

Member

Member


Sir af jab be free hon ge mujhe message karna my no.
042-32591427,
.
Bilkul sir yahi bemari hai bahar jana aur numaz padne par mujhe dar lagta hai. Plz sir rabta kare

1 month ago

Member

Member


My No . 042-32591427,

1 month ago

Member

Member


Sir mai online paymant nahe kar sakta mere pass koe card nahe hai aur yaha mera no be wrong ja raha hai . Plz sir mujhe se rabta kare Mai bank mai af ka pess jama karo ga

1 month ago

Psychiatrist in Lahore - Asst. Prof. Dr. Ayaz M Khan
Asst. Prof. Dr. Ayaz M Khan - Psychiatrist

MBBS, FCPS, MD | Lahore | Book Appointment

review-stars 55 Positive Reviews

Mohtram!

Ap Marham ki helpline 042-32591427, per call karain aur unhain card na honay ki mushkil se agah karain. Mujhy umeed ha k wo apko zarur koi mutbadal rasta bta dein gy. Ap k bharosay ka buhat Shukriya!

1 month ago

Attach Photo here: