Book Video Consultation
Stay Home
No Waiting in lines
Audio/Video Call
PMC Verified Doctors
Asking For Self, Male 34, Gujranwala
main aik depression ka patient hon is k ilawa mera H pylori b positive hai kal main doctor Asim Saleem sheikh k pass geya tha unhon ne mujhe H pylori ki madicne likh k di or is k sath 1 advise b ki k ap apne depression wale doctor se pocho k main ye madicne kha lon k nahi samjh main nahi aa raha k main KeyA karon or demag main terhan terhan k sawal paida ho rahe hain doctor Asim Saleem sheikh k barey main mere demage main ye sawal aa raha hai k agar doctor Asim Saleem sheikh ne mujhe madicne likh k di hai to ye un ko dicide karna chahiye k main un ki likhi hoi madicne khaon k nahi ajeeb tansion hai wasey mujhe ab samjh nahi aa raha k KeyA karon
i am psychological councellor and also a homeopathic dr. over thinking ap k body pe bure effects dalti h... Ap online appoinment book kr skte muj se or Dr Asim b ache dr hain... es k elawa agr ap phr b mutmain na hon to H pylori ki medicine b mil skti... koi b medicine k lie sb phle ap js dr k pas ja rhe hain ap ko un pe or un k treatment pe pora yaqin hona chahiye... q k kosish hmari or shifa Allah pak ki zat dene wali h. thanks
h pylori ka to 14 days ka hota e illaj ,,wo ap ny karwa lia??2nd thing kea allamat hain jo apko lgta aoko depression e?koe illaj karwa ry dmagh k doctor say?
Sorry to hear about your problem, yes antidepressants which are safe for patients who have gastric problems are available, kindly tell which medication for h. Pylori are you using , please take consultation for your psychiatric symptoms and then treatment plan will be made accordingly
Member
main ap ki baat se mutamin hon lakin main ne jo sawal kiya hai us ka jawab nahi diya kisi ne b
1 month ago
M.Sc Psychology, DHMS | Faisalabad | Book Appointment
Ap ne kaha ap depression k patient hain... phli bat to ye k ap khud pe khud label kese lga skte k ap ko depression h ? depression aik mentally disorder h... aik bimari h.... ap over thinking krte hain... fesla lene ki power weak h to ap ap ko aik session ki zrort h.... ap appoinment le skte muj se... baqi ap ne apne treatment ki bat ki h to ap mutmain the to us dr k pas gae... to agr ap un se mutmain ni hain to kisi or dr se medicine le skte hain.
1 month ago
M.Sc Psychology, DHMS | Faisalabad | Book Appointment
You can consult online with Ms. Saima Nawaz
Book Online Consultation here:
https://www.marham.pk/personal/20177
1 month ago
Member
main ne depression ka patient is liye kaha k main 3 month se depression ki medicine kha raha hon or main ne apni depression wali file b doctor Asim Saleem sheikh ko dikahi lakin phir is baat ka KeyA maqsad k ap apne doctor se pocho
1 month ago
Member
meri nazer main wo doctor kam or qasai zeyada hai jis ne mere sare test krway apni marzi ki lab se or
madicne b likh k di baad main kehta hai k ap apne depression wale doctor se pocho k ye madicne lon k nahi agar Asim Saleem sheikh doctor hai to mujhe us ki ye baat hazam nahi hoi
1 month ago
Member
or han agar mere depression wale doctor ne hi medicine da dicide krna tha to is Asim Saleem sheikh ne mere test b us se poch k krwane chahiye the
1 month ago