Book Video Consultation
Stay Home
No Waiting in lines
Audio/Video Call
PMC Verified Doctors
Asking for Self, Male, 20 years old, Karachi
Since i had panic attack im dealing with abnormal activity in my body i cant digest food properly gasses banti hain boht heart pain hota hai only when i burb i feel little relax it has been more then a month Kal raat sehri karne k bad mere pulse rate high hogti wrist or sir k pechy pulse boht tez tez pharpara rahi thi uske bad meri eyes boht red hogyi or meri sans rukna shuru hogyi mujhe boht ghabrat hui maine thori walk ki usse bhi behtar nai hua phir tilawat karne lag gya lekin boht aziyat main tha abhi bhi yehi horha hai pls guide what is happening its been more then a month im facing abnormal things kabhi kuch kabhi bp high or gasses to panic attack k baad se ho hi rahi hain im worried
Member
Anonymous User
Your query has been approved and the relevant doctor has been tagged. You will receive the answer soon.
You can also discuss your issue with GP via video call for just Rs. 30. If you want to book an online consultation with a doctor, please visit this link:
https://www.marham.pk/online-consultation/general-physician
aap ke alamat ap ke badhazmi se munsalik maloom hotey hain, aap ne kabhi ghor kya hai ke aap ke alamat kis waja se zyada hotey hain. maslan qabz ke shikayat to nahe? pait mai dard jo rafa hajat se teek hojata ho ? badhazme ? neend ka na aana ? kabhi kabhi hafton qabz rehna ao phir kaye dinnon tak pait kharab rehna ?
Member
Qabz to nai rehta roz stole pass hota hai. Lekin pait ek tarhan se kharab rehta hai gasses feel hoti hain jab let ta hun or pait main esa koi dard b nai hota bas khana khane k bad khana hazam boht mushkil se hota hai or kabhi khali pait bhi dil me chuban hoti hai ya sir me teese uth rahi hoti hai jab tak dekar nai ati kuch behtar nai hota or gases to pas hi nai hoti
1 month ago
Member
Nend bhi sahi se nai aati boht bechaini hoti hai so bhi nai pata jese hi let ta hun pait main awaaze shuru hoti hain esa lagta hai boht gases ban rahi hain or pass bhi nai hoti pait jese sunn hojata hai bilkul phir beth ta hun to dekar ati hai to kch behatr hota hai
1 month ago
MBBS, FCPS (Training Complete), MD (USA) | Peshawar | Book Appointment
aap ke alamat Irritable bowel syndrome ke ho sakte hain jis ko aap aanthon ke badhazmi keh sakte hain. jis me aanthon mai jama lakhon achay jarsim ke kami ya bad tarteebi hoti hai. aap apne khurak ke tarteeb badal dein. khanay mai dahi , ao sabzion ka izafa karain, meeti chezon se parhez karain, hafte mai aik ya do baar gosht aur aik baar chawal le sakte hain, dawai mai tab. mint F 1 goli din mai 3 baar 2 maah ke liye , tab. rifixa 550mg din mai do dafa 2 hafte, tab. amylin 25mg raat ko aik goli 1 maah ke liye. InshAllah faida hoga.
1 month ago
Member
Anonymous User
For anxiety and depression support join this group
https://chat.whatsapp.com/LOsiRS2Eu0NC0xF3IuBV7M